Tuesday, August 4, 2015

Fake & Fraud Online Aamils


"Dawat e Rohoniat" internet ki dunia mein woh pehli aur wahid blog site hai jis mein woh tamam rohani oloom share kiay jatay hain jisay zamana e qadeem kay olma e rohaniat nay sari omar ki mehnat say hasil kiay aur in par books likhi, yeh qadeem oloom jo dunia mein fana honay ki risk par hain in oloom ko share kar kay Dawat e Rohaniat nay in oloom ko dobara is dunia mein zinda rakhnay jesa kam kia hai, lekin afsos aaj kay is scientific dor mein nai generation kay log machine ya robot ki tarah hogay hain, bohat kam aysay log hain jo rohaniat ya rohani mukhfi oloom mein dilchaspi rakhtay hon, isi waja say qadeem olma e rohaniat ki nayab amliyat ki arabic books ka urdu mein tarjoma kar kay publish karnay walay log bhi is kam ko aab nahi kartay, iski waja aak to yeh hai kay logon ka interest aab in oloom mein bohat kam hogaya hai aur books koi nahi leta dosra humaray mashray mein kai aysa ghatia log hain jo khud ko aamil batatay hain aur rohani olom ki onko abc bhi malum nahi hoti sirf bataon ki tricks aur haath ki safai, shobda bazi dikha kar logon ko fool banatay hain, in fake aur fraud logon ki waja say jo ilm rakhnay walay sahi log hain onko bhi mashray mein kharab samaj lia jata hai, aysay kai ghatia fake aur fraud jali aamils kay khilaf Pakistan kay news channels nay acha kam kia aur kai astanay jo jaga jaga har ilakay mein banay thay onko band karwa dia, lekin yeh shaitan log aab apnay astanay online khol kay bethay hain aur internet kay zariay logon ko fool bana rahai hain, 
Dawat e Rohaniat internet ki dunia mein aak behtay daria ki tarah hai jahan har olom share hotay rehtay hain, jahan rohaniat aur rohani olom kay piasay log is daria mein say chand ghont ilm kay pee kar apni pias bojhatay hain lekin kai aysay ghatia log bhi hain jo is ilmi daria mein gandagi daltay rehtay hain takay yeh daria ganda hojay aur itni gandagi is mein par jay kay behna he iska rok jay aur koi bhi piasa iskay nazdeek na jay, yeh gandagi dalnay walay log wahi fake aur fraud jali aamil hain jinko khuda nay ilm nahi dia onki behoda nature ki waja say aur yeh log hasad ki aag mein jaltay rehtay hain aur sara din onkay dimakh mein yahi soch rehti hai kay kistarah logon ko fool bana kar onsay pesay hasil kiay jay, yeh nosar baz log aab net par bhi tarah tarah ki websites aur facebook pages bana kar mosibat zada logon ki parayshanio ka faida otha kar onko bewakof bana kar onsay pesay letay hain, wesay to in jali fake aamils ki list kafi lambi hai lekin mein yahan kuch aysay jali fake aamil kay mutalik batata hon jinhonay Dawat e Rohaniat blog site ko apni site bata kar kai logon ko fool bana kar hazaron rupay onsay liay, mein in jali aamil ki detail yahan share kar raha hon:
Pehaly aak jali fraud aamil nay Dawat e Rohaniat nam kay miltay joltay nam say blog site banai jiska nam istarah tha Dawat e Rohani, is fake blog site mein os nay Dawat e Rohaniat site mein say photos aur texts copy kar kay apni blog site par paste kar kay wahan apna phone number aur apna nam M.A Kazmi likh dia, meri complain karnay par cyber crime police nay oski site par diay phone number say osay pakar lia aur osnay apni sites wagayra sab remove kardi, aab aak dosra fake fraud aamil Dawat e Rohaniat site ki copy kar raha hai lekin yeh shaks bohat chalak hai osnay jo phone numbers site par diay hain sab fake hain yeh shaks sirf e-mails kay zariay logon say rabta rakhta hai os shaks ki website ki photos yeh hain,
Is fake site mein sari photos aur texts meri site mein say liay ghay hain,
 Jab koi is fake site ko log in karta hai to yeh achanak link samnay ajata hai kay e-mail kay zariay rabta karain aur jo e-mail karta hai parayshan hal shaks woh is fraud kay jal mein phans kar apnay pesay zaya kar deta hai,
 Yeh fraud shaks kafi mehangi amliyat say jori chezain aur tilsim, tawez sell karta hai, fake gidar singhi yeh shaks 70,000/- rupees mein sell karta hai,
Is jali fraud aamil nay apna nam internet par kai site mein Faqir Muhammad Ishaq Qalandari kay nam say rakha hai aur fake cell phone number dia hai jahan call jati he nahi, sirf e-mail kay zariay yeh fraud logon ko dhoka deta hai,
Is shaks ka facebook page yeh hai,
Khud ko faqir batanay wala yeh jal saz shaitan tarah tarah kay photos share kar kay khud ko bari hasti ki tarah pesh karta hai,
Is shaks nay Facebook par Dawat e Rohaniat kay nam say fake page bhi bana rakha hai jahan asal Dawat e Rohaniat ki site say photos lekar apnay fake page par share karta hai,

Is jaali fake aamil nay comment share kar kay kitni safai say khud ko pesh kia hai aur apna e-mail address bhi share kia hai,
 Yeh Gidar singhi ki sari photos Dawat e Rohaniat blogsite say chori kar kay apnay fake page par share ki ghai hain,
 Photo kay nechay aak Australian customer kay friend Mirza Mamoor nay likha hai kay is fraud shaks nay 70,000/- rupees mein fake gidar singhi bechi hai,
Is jali fake aamil ki waja say Dawat e Rohaniat site kay mutalik kai logon nay shikaet ki aur kai jaga is site kay mutalik boray comments parhnay ko milay,
 In jali fake fraud aamil ki waja say he Dawat e Rohaniat site ki kafi bad nami hoi kai logon ka yakin aur bharosa tota, InshAllah bohat jald is shaks ko cyber crime police ki madad say pakra jay ga, aysay ghatia log agar mashray mein rahai to parayshan hal logon ko mazeed parayshani mein dalay ghay sath mein rohani oloom ka bhi kafi noksan hoga, logon ka ilm par say yakin he oth jay ga, 
Agar aap kay ilakay mein ya internet par koi fake jali fraud aamil ho ya Dawat e Rohaniat site ki koi copy karta hoto mujay oskay mutalik zaror bataega takay oskay mutalik bhi action lia jay takay log in shaitan sift ghatia logon say mehfoz reh sakain,
Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay (ameen)

                       Ali.